
Khuaahish Lyrics — “Khuaahish” is a soulful and introspective track that adds a layer of emotional depth to the ‘Jadugar’ album. Talhah Yunus delivers the lyrics with a raw, heartfelt vulnerability that makes the listener resonate with every word. Composed by Umair, the music perfectly complements the melancholic yet beautiful vibe, creating an immersive experience that stays with you long after the song ends. Read the full Khuaahish Lyrics below.
Song Details — Khuaahish
| 🎤 Singer | Talhah Yunus, JANI |
| 🎵 Music | Umair, superdupersultan |
| ✍️ Lyrics | Talhah Yunus, JANI |
| 💿 Album | Jadugar |
| 🏷️ Label | Talhah Yunus |
Khuaahish — Official Video
Khuaahish Lyrics
( Talhah Yunus x JANI )
Phir Chal Diye Kahin
Lehron Se Karni Baatein Kya? Hawa Mein Hai Nami
Tu Manzar Ek Haseen
Doobay Hain Teri Yaadon Mein, Ab Aadat Ho Gayi
Phir Chal Diye Kahin
Dikhein Taaray Aasmaan Pe, Ho Yahan Baarish Bhi Nahi
Tum Khwaahish Ho Meri
Dhoondein Tumhein Har Saahil Pe, Tum Khwaahish Ho Meri
Muskura Do Abhi
Phir Wohi Faaslay
Gham Bhula Do Sabhi
Kya Tu Naraaz Hai?
Door Hai Mustaqil
Aa Hi Ja Khwaab Mein
Toota Hai Kya Yeh Dil?
Dard Is Aawaaz Mein
Nasha Teri Aankhon Mein, Kya Qaidi Kiya Peechhay Salaakhon Ke
Khushboo Teri, Tujhay Har Saans Mein, Dhoondun Tujhay Hi In Barbaad Raaton Mein
Phislay Woh Reit Ki Tarah Meray Haath Se
Phool Khiltay Nahi Ab Is Baagh Mein
Kho Sa Gaya Teray Jaanay Ke Baad Main
Sirf Detay Duaein, Kya Ghalti Meri?
Saza Kya Gunaahon Ki Milti Rahi?
O Jaaneya, Jo Teri Raza
Jo Guzra Sab Bata, Sununga Har Dafa
O Jaaneya, Tu Chalti Hawa
Jo Chhoo Kar Rawaan, Na Koi Humnawa
Tu Khwaahish Meri
Tu Husn Ki Raani Ya Hai Koi Pari
Tu Khwaahish Meri
Kabhi Hai Zaroorat, Kabhi Kuch Nahi
Samajh Se Bala-tar Bhi, Kitna Likhun, Sab Ba-asar Nahi
Meri Aadatein Bigri Hain Be-hisaab
Shayad Tum Ne Kar Di Hai Zyaada Narmi
Main Jab Bhi Tum Se Takraaun
Main Toh Khud Ki Nidaamat Par Hans Raha Hoon
Meray Seenay Mein Dhuaan Hai, Thak Raha Hoon
Ujaalon Mein Bhi Baitha Ghabraaun Main
Band Tanz-o-maza, Mujhay Khud Se Mila
Kar Khud Barbaad, Phir Khud Se Bana
Mujhay Shikway Nahi Rab Se, Hai Khud Se Gila
Mujhay Teri Fikar, Nahi Hai Khud Ka Pata
Meri Kashti Jala, Isay Raakh Kar
Kya Main Aaun Kinaaron Par Bhaag Kar?
Aur Keh De Tu Rab Ko Bhi Ja Kar Phir Apne
Yeh Lehrein Na Mujh Par Azaab Kar
Pehlay Zehni-tawaazun Hila Do Tum Mera
Phir Sab Kuch Laga Do Ilaaj Par
Matlab Hum Se Bhi, Jaanam, Naqaab Kar
Lekin Jo Bhi Karna Hai, Sab Aaj Kar
Suna Hai Aata Hai Roop Badalna
In Kaanton Ko Kabhi Ghulaab Kar
Poochh Mat, Jaanam, Ke Pesha Hai Kya
Main Bas Jhoot Pakarta Hoon Aaj Kal
O Jaaneya, Jo Teri Raza
Jo Guzra Sab Bata, Sununga Har Dafa
O Jaaneya, Tu Chalti Hawa
Jo Chhoo Kar Rawaan, Na Koi Humnawa
Tu Khwaahish Meri
Tu Husn Ki Raani Ya Hai Koi Pari
Tu Khwaahish Meri
Kabhi Hai Zaroorat, Kabhi Kuch Nahi
Khuaahish — FAQ
Q.Who sang Khuaahish?
Khuaahish is sung by Talhah Yunus,JANI.
Q.Who wrote the lyrics of Khuaahish?
The lyrics of Khuaahish are written by Talhah Yunus,JANI.
Q.Who composed the music of Khuaahish?
The music of Khuaahish is composed by Umair,superdupersultan.
Q.Which album is Khuaahish from?
Khuaahish is from the album Jadugar.
Q.Which music label released Khuaahish?
Khuaahish is released under Talhah Yunus.
Q.What language is Khuaahish?
Khuaahish is a Hindi song.
Q.Where can I read Khuaahish Lyrics?
You can read the full Khuaahish Lyrics in Hindi and English at Lyrixwala.com.
If you find any mistake in lyrics, please Contact Us. 🙏





