
Aabshaar Lyrics — “Aabshaar” is a soulful and serene composition that beautifully captures the essence of the ‘Banjaare’ album. Emang’s velvet-smooth vocals add a layer of profound depth, making the track resonate deeply with the listener’s emotions. The combination of poetic lyrics and tranquil music creates a soothing atmosphere that lingers in the mind long after the song ends. Read the full Aabshaar Lyrics below.
Song Details — Aabshaar
| 🎤 Singer | Emang |
| 🎵 Music | Emang |
| ✍️ Lyrics | Emang |
| 💿 Album | Banjaare |
| 🏷️ Label | Emang |
Aabshaar — Official Video
Aabshaar Lyrics
( Emang )
[Intro]
Hmm…
Tumhare Saath Chalte Hue,
Kabhi Manzil Yaad Nahi Rehti…
Bas Raasta Achha Lagne Lagta Hai.
[Verse 1]
Tumne Jo Baal Kaan Ke Peeche Kiye,
Main Apni Baat Bhool Gaya,
Tum Kuch Kehkar Hansne Lagi,
Aur Main Wahin Ka Wahin Reh Gaya.
Woh Chhoti Si Bakery Yaad Hai?
Jahaan Tumne Cake Pasand Kiya,
Maine Kaha, “Aaj Meri Taraf Se,”
Tumne Aadha Mujhe Khila Diya.
Koi Badi Si Baat Nahi Thi,
Na Koi Filmi Mulaqat,
Par Us Din Ghar Lautkar Bhi,
Chehre Pe Thi Tumhari Baat.
[Pre-Chorus]
Kuch Pal Awaaz Nahi Karte,
Phir Bhi Dil Mein Utar Jaate Hain…
[Chorus]
Tu Yunhi Mere Saath Rehna,
Kisi Wajah Ke Bina Rehna,
Jab Duniya Mujhse Sawaal Kare,
Tu Meri Taraf Se Hans Dena.
Main Koi Waada Bada Na Karoon,
Bas Sach Ke Saath Nibhaaoonga,
Jis Din Tu Khud Ko Bhool Jaaye,
Tujhe Tera Naam Yaad Dilaaoonga.
[Verse 2]
Tumhe Baarish Pasand Hai,
Mujhe Bheegna Achha Nahi,
Phir Bhi Jab Tum Saath Hoti Ho,
Mausam Se Koi Shikayat Nahi.
Tum Raaste Bhar Gaane Gaati Ho,
Sur Thode Idhar-udhar Hote Hain,
Main Chupke Se Record Kar Leta Hoon,
Ye Pal Kahaan Dobara Milte Hain?
[Bridge]
Kabhi Hum Boodhe Ho Jaayein,
Aur Baatein Wahi Puraani Hon,
Tum Phir Se Mujhse Poochhna,
“Yaad Hai, Hum Kahaan Mile The?”
Main Hanskar Tumhe Bataaoonga,
Har Chhoti Baat Yaad Hai,
Tum Meri Zindagi Mein Aayi Thi,
Bas Wahi Sabse Haseen Baat Hai.
[Final Chorus]
Tu Yunhi Mere Saath Rehna,
Kisi Wajah Ke Bina Rehna,
Jab Duniya Mujhse Sawaal Kare,
Tu Meri Taraf Se Hans Dena.
Main Koi Waada Bada Na Karoon,
Bas Sach Ke Saath Nibhaaoonga,
Jis Din Tu Khud Ko Bhool Jaaye,
Tujhe Tera Naam Yaad Dilaaoonga.
[Outro]
Hmm…
Tumhare Saath Chalte Hue,
Ab Ghar Bhi Paas Lagta Hai…
Aabshaar — FAQ
Q.Who sang Aabshaar?
Aabshaar is sung by Emang.
Q.Who wrote the lyrics of Aabshaar?
The lyrics of Aabshaar are written by Emang.
Q.Who composed the music of Aabshaar?
The music of Aabshaar is composed by Emang.
Q.Which album is Aabshaar from?
Aabshaar is from the album Banjaare.
Q.Which music label released Aabshaar?
Aabshaar is released under Emang.
Q.What language is Aabshaar?
Aabshaar is a Hindi song.
Q.Where can I read Aabshaar Lyrics?
You can read the full Aabshaar Lyrics in Hindi and English at Lyrixwala.com.
If you find any mistake in lyrics, please Contact Us. 🙏










